Haan! Sab Samajta hoon mai

image

Teri masoom si baato ko ache se samajta hoon mai…
Teri pasand, na padand ko bhi bhakhoobi samajta hoon mai…

Teri shararato.., teri naadaniyo ko bhi samajta hoon mai…
Teré dil mé chupe mere pyar ko bhi samajta hoon mai…

Haan! Sab samajta hoon mai…

Tu bas itna samajle é humsafar mere..,
Tuje apni jaan he nahi.., apna jahan samajta hoon mai…

– Kamal singh (Aazad)

Leave a comment