love

Shayari

Basro beet gaye…

na hum tak tumahari koi khabar aayi

aur na tum tak humara pegaam…

ab tho bhula chuke hai dard tere

na dil me chuban na haath mai jaam

Lakin jab log zikr karte hai tera mere saamne…

tab yaad zarror karta hu tujko…bhale ek pal k liye bhool k meri duniya dari tamaam…

-Aazad

Shayari

Chita ki lapto se teri hum gale lag gaye…

Moond kar humari yé nam aankhe hum tere jahan mai jag gaye…

Mile tujse us jahan mai…tho laga k vahan bhi tu mera intezar kar rahi thi…

Bhool na jau tuje mai tu isi dar se dar rahi thi…

Dekh e humsafar mere… aaj tere haath mai mera haath hai…

Us jahan mai na sahi… is jahan mai hum ek duje k saath hai…

Ab dua bas itni hai khuda se k humesha tera mera saath ho…

Agar door ho kisi janam mai tho aisa janm khuda ko bhi na gawar ho…

– Kamal Singh (Aazad)

PC: Zeenews.india

Humare is duniya se jate he…

Humare is duniya se jate he hum unke dil ki gehraiyo me utar jate he…

aisa nahi k kuch khas kar vida li ho humne…ab humare bagair vho ek pal bhi kaha chain se jee pate he…

ab khamosh us ghar me vho humse haal e dil bayan kar gaate he…

humare is duniya se jaate he hum unke dil ki gehraiyo me utar jate he…

ab galti unki nahi he janab…unko kya khabar thi k har guzarte din k saath hum unki aadat ban jaate he…

ab humare bagair soone pad gaye he vho…yaad kar hume aksar nayan bhar aate he…

humare is duniya se jaate he hum unke dil ki gehraiyo me utar jate he…

-Kamal Singh (Aazad)

Intazaar…

kyu aaj bhi tere intazaar me hum calender par har guzri tarrekh pe nishaan bana rahe he…

pata nahi kyu aaj bhi is dukhi man ko joothé dilaso se mana rahe he…

gaye tab kaha tha tumne k tum kuch mahino baad vapas piya k pass laut aaoge…

socha na tha k kuch mahine kayi baras ban jayenge aur tum is maasoom dil ko itna sataoge…

jahan tum ho aaj….tumko ye bhanak bhi na hogi k koi sahil apni kashti k laut aane ka salon se intazaar kar raha he…

he koi dewaana kahi jo aaj bhi tere intazaar me din din mar raha he…

ab chodo na ye sab jaan…dekho aaj saal ka akhri din he…

kal ek naya calender aayega aur ye purna baki 7 k saath mil jayega…

-Kamal Singh (Aazad)

Shayari

khath likh bheje kayi tumko

par jawab ek ka bhi nahi aaya…

gussa tho bahut hue hum…

bole apne aap se…jab miloge tum tho tumse kayi sawal karenge…tere is sitam ki ache se khabar lenge…

lakin jab aaya tu saamne é humsafar mere…

meri shikayat ki bél k saare patte ik ik kar jad gaye…

nam aankho k beech mere sare sawal dhoondhle pad gaye…

-Kamal singh(Aazad)

shayari

pata nahi kyu hum tuje kabhi kabhi toda zayada yaad kar lete he…

issi thode k chakkar me aksar kab shaam dhal jati he pata he nahi chalta…

tere khayalon me baite rehte he apni kursi pe…na vho koi aawaz karti he na hum…

aankhe khuli rehti he humari par kuch dikhayi nahi deta… awaaze bhi aati hogi logo ko shayad par pata nahi kyu hume tab kuch sunayi nahi deta…

shayad hum na kuch dekhna chahaté he na kuch sunna chahaté he bas yunhi teré he khayalo me doobé rehna chahaté he…

pata nahi kyu hum tuje kabhi kabhi toda zayada yaad kar lete he…

issi thode k chakkar me aksar kab shaam dhal jati he pata he nahi chalta…

-Kamal Singh(Aazad)