zindagi

KYONKI…JEENA ISIKA NAAM HAI

Mauj mai baité thé apni mej pe…
Na kisi baat ki chinta thi aur na koi dukh
Tabhi humari halki si aankh lagi
Aur aglé he pal hum khwabo ki duniya mai thé !

walking-alone-730x400

Sunsaan sa ek rasta…
Aur ek musafir bina ruké chala ja raha hai…
Chalté chalté itne door aagaya hai
Na bachpan ki galiyaan nazar aa rahi hai
Na ladakpan ki vho gaddo bhari sadak
Na vho rahi saath hai aaj
Aur na he vho dadi ki kahaniyo bhari raat…
Na gilli-dandé ka khel hai
Na he vho khawabo ka mahel hai
Gum ke kaante hai is raste pe ,
na hai khushiyon ki ek bhi boond
Zindagi se haara ye musafir
khoj raha hai apne jeene ka vajood…

Jab uthe apni neend se tho dekha k
Sab zindagi ki is daud mai bhaag rahe hai…
Puré karneko apne sapné, musafir raat bhar jaag rahe hai…

Ghar-gaadi-paisa aur Kal ki chinta
Ye sab aajkal aam hai
Apne “AAJ” mai khush rahena seekh é musafir
Kyonki…jeena isika naam hai…!

-Kamal Singh (Aazad)
(26/9/2015 10:27am)